RSS

Bulbul ki kahani Titli ki zabani

07 Mar

 

Ik bulbul ki zindagani ki aik lambi si kahani hai….Kabhi subha kabhi  shaam … Kabhi dhund mein chupi siah raat to kabhi qause qazah si jawani hai…

Kabhi titli  ke jaisi nazuk kabhi  aik rangeen chirya to kabhi bulbul ki tarah gaati hai…

Koi roop nahin iska yeh chehray pe chehra lagati hai…Asal chehra to ub aina bhi bhool geya iska…

Magar bargad pe bethi jub apnay paron ko sehlati hai…Khud ko bohat halka bohat sacha bara dilnasheen pati hai…

Na koi matlab na koi aarzoo bargad se hai…magar meelon ki lambi uraan ke baad usi ki shakhoon mein jhool ke sastati hai…aur Usi ko sirf apna sahi chehra dikhati hai…

Bargad bhi bohat bulbulon se waqif hai…Magar is bulbul se aisa naata jura…Kuch aur sarnigoon ho jaata hai Jub aanay mein  dair lagati hai…

Ajab naatay kabhi zindagi mein bun jatya hain…Insaan sochta bhi nahin aur kiya se kiya ho jaata hai.

 

 
Leave a comment

Posted by on March 7, 2011 in poems

 

Tags: , , , , ,

Leave a comment